ID: SHY12044884
Aaj phir dil ne ek tamanna ki,
Aaj phir kisi ko yaad karne ki…
Na jaane woh samjhe ya na samjhe,
Par humne har dua me unhe maanga hai.”
“Waqt badalta gaya, log badalte gaye,
Hum muskurate rahe aur zakhm chhupate gaye…
Kuch log dil me itne bas jaate hain,
Ki unhe bhoolne me zamaane beet jaate hain.”
“Aaj ka din bhi teri yaadon me guzar gaya,
Dil chup tha magar aankhon se sab bayan ho gaya…
Kaash tu samajh paata is khamoshi ko,
Har dhadkan me tera hi naam likha gaya.”
🔥 Share karo +1 Point earn karo (myCred)